Why introverts hate small talk? | Introverts jada baat kyu nahi karate?
Introverts gap-shap karana kyu pasand nahi karate?
Aksar log
introverts ke jada baat na karane ki aadat ko galat samz kar ye maan lete hain
ki introverts dusare logon ko pasand nahi karate lekin ye bilkul bhi sach nahi
hain aur aisa bhi nahi hain ki introverts ko baate karana pasand nahi hota.
Asal me
introverts gap-shap karana pasand nahi karate kyu ki vo Meaningless hoti, jabki
Introverts gahari baate karana pasand karate hain, aisi baate jisase unhe kuch
sikhane ko mile ya aisi baate jo unhe gahari soch me dalde.
Reasons Why Introverts Hate Small Talk
Introverts are Deep Thinkers
Jadatar
introverts hamesha apane sochme doobe rahate hain aur kisi bhi chij ke bare me
gaharaise sochana pasand karate hain, iss vajah se ve gap-shap karake Timepass
karane se jada kisi interesting topic par sochane ko pradhaanata dete hain.
Agar aap ek
extrovert hain to ho sakata hain ki shayad aap iss baat ko samaz nahi paa rahe
ho, to ise ek example se samzne ki koshish kare,
Maan lijiye
ki aap ko ek bohot he jada hard puzzle solve karana hain aur use solve karane
ke liye aapke paas sirf 6 ghante hain to kya aap un 6 ghanto me puzzle ke bare
me sochane ki bajaye betuki baate ya gap-shap karate rahenge? Nahi na…
Aur
introverts ke paas to aisi kai saari chije hoti hai sochane ke liye.
Overthinking
Introverts
ko interesting chijoke bare me sochte rahana pasand hota hain lekin yahi jada
sochane ki aadat introverts ke liye tab pareshani ka karan ban jaati hain jab unaki
soch ka Vishay koi nakaratmak vichar ho aur durbhagya se uss vichar ko dimaag
se nikalana kuch introverts ke liye asaan nahi hota. Halaki overthinking ko rokane ke kuch tarike hain lekin fir bhi ise puri tarah se rokana
bohot jada mushkil kaam hain.
Aur yahi
negative overthinking introverts ke jada gap-shap na karane ke karanome se ek
hain, vo kaise? Ye ham Suresh ke example se samazte hain,
Ek Suresh
naam ka ladaka janm se he introvert tha. Ek din vo apane ghar ke samane vaali deevaar
par painting kar raha tha, tabhi vaha se usake pados me rahane vale ek bujurag
kahi ja rahe the. Unhone jaate-jaate Suresh ko painting karatahua dekhke pucha
“are beta painting kar rahe ho?” aur suresh ne kaha “haa” lekin uss din Suresh
ka awaaj thoda baitha hua tha to usane socha “unhe mera awaj sunai diya hoga ya
nahi?” tab tak vo bujurg to ja chuke the lekin ab Suresh ki jada sochane ki
aadat ki vajah se usake man me kuch aise savaal aane lage,
“unhe mera
awaj sunai diya hoga ya nahi?”
“agar nahi
sunai diya hoga to vo kya soch rahe honge?”
“agar unhe
laga hoga mai kuch bola he nahi to kahi vo muze ghamadi to nahi kahenge?”
“unhone meri
ek baar madat bhi ki thi, vo muze aisan faramosh to nahi samz rahe honge?”
Vagera-vagera…
aur na jaane Suresh aise he kitani der tak uss ek chij ke bareme he sochata
raha.
Agar iss
tarah ka 2 lines ka sambhashan introverts ke man me itane negative vichar la
sakata hain to introverts ka jada gap-shap karane ko pasand na karana to jaahir
si baat hain.
Asal me
introverts ka jada gap-shap karane ko pasand na karana unake avachetan man
dvara negative vicharo se bachane ke liye banaye gaye Defence ki tarah hain.
(Jaise Dar
bhi hamare avachetan man dvara kisi bhi khatare se bachane ke liye banaya gaya
Defence hain)
Small Talk Creates Barrier between People
“Introverts
do not hate small talk because we dislike people, we hate small talk because we
hate barrier it creates between people”
Aap iss baat
se jarur sahamat honge ki jab log (jo ek dusare ke jada karibi na ho) aapas me gap-shap
karate hain tab vaha moujood koi vyakti dusare ki kahi gayi kisi baat se sahamat
nahi bhi hoga tab bhi 10 me 8 bar vo aisa dikhata hain ki vo uss baat se
sahamat hain ya fir kam se kam usaka khulake virodh nahi karata, usi tarah aise
kai nakali dikhave kiye jate hain aur iss vajah se vo kabhi bhi apane vichar
khul ke ek dusare ke samane nahi rakh paate, isase aapas me galataphahamee bhi
badhane lagati hain, isake kaaran vo kabhi bhi ek dusare ke saath bhaavanaatmak
roop se nahi jud paate aur introverts yahi sab chijo se nafarat karate hain.
Jadatar Introverts
behad sanvedanasheel (sensitive) hote hain, unhe logon ke bich manamutaav hona
bilakul pasand nahi hota.
Introverts don’t want to hurt people
Kyu ki Introverts
behad jada sanvedanasheel (sensitive) hote vo baaki logon ki bhavanao ka bohot aadar
karate hain. Aur jab had se jada sanvedanasheelata aur overthinking ke karan introverts dusare logon ki bhavanao ke baareme bohot jada sochate hain aur vo nahi chahate ki unaki kisi baat ki vajah se galati se bhi kisi ko
bura lage ya dukh ho fir chahe kisi ko bura na bhi laga ho fir bhi introverts ye sochkar pareshan hote rahate hain ki "kahi meri kisi baat se kisi ko bura na lag jaye" aur ye bhi introverts ke jada baat na karane ka ek karan
hain.
Few words from I’m Introvert
Iss article
me diye gaye sabhi kaaran, introverts ke gap-shap ko pasand na karane ke kuch
mukhya karan hain aur in karano ke alava bhi kuch hare k introvert ke kuch anya
vyaktigat kaaran ho sakate hain.
Agar aap ko
hamara yah article pasand aya to ise Share jarur kare aur comment box apana
feedback jarur de taki ham aapko aur bhi behatar seva pradan kar sake.
Also read: How to stop overthinking?
Can an introvert become an extrovert?
Types of Introverts
Thank you!
0 Comments