4 Types of Introverts in hindi | Introverts ke 4 prakaar
Types of Introverts
Wellesley College me psychology ke professor Jonathan Cheek ke mutabik duniya me 4 types of introverts hain, social, thinking, anxious and restrained. Lekin ve aisa bhi kahate hain ki kai introverts asal me in sabhi prakar ke introverts ka combination hain.
Kisi bhi
introvert person ko samazne ke liye, ya fir agar aap khud introvert hain to apane
aap ko samazne ke liye in 4 types of introversion ko samazana jaruri hain.
To chaliye jaan lete hai introverts ke 4 prakar.
4 Types of Introverts
Social Introvert:
Social
introvert vyakti vo hota hain jo apna jyadatar samay akele me bitana pasand
karta hain. Social introverts ya to kuch 2-3 khaas logo ke sath samay bitayenge
ya fir akele me samay bitayenge. Bohot saare logon ke saath party karna ya fir
logon ki bhid me rahana social introverts bilkul bhi pasand nahi karte.
Thinking Introvert:
Hameshya
kisi gahari soch me dube rahana, din me sapane dekhana our khud ki he duniya me
khoye rahana ye Thinking introvert hone ke lakshan ho sakate hain.
Lekin
kabhi-kabhi log aise vyakti ko bhi thinking introvert samazane ki bhul karate hain
jo kisi chij par dhyaan kendrit nahi kar paata, aisa keval dhyaan ki kami ke
karan hota hain,aisa jaruri nahi ki vo vyakti introvert he ho.
Thinking
introverts ko rachanatmak tarike se imagine karana achaa lagta hain. Jyadatar
thinking introverts creative hote hain our unki imagination power bhi achi hoti
hain.
Anxious Introvert:
Jab kisi vyakti
ko apane samajik koushal ke prati aatmavishavaas nahi hone ke kaaran vo logon
ke bich jaane se apane aap ko rokata hain ya sankoch karata hain, aise vyakti
ko ham Anxious introvert kahate hain.
Lekin jab
anxious introverts akele hote hain tab bhi unaki anxiety kam nahi hoti, ve ye
soch kar pareshan hote hain ki, “kaash maine vaisa bolane ki bajaye aisa bola
hota” ya fir “agar maine ye kiya hota to kitana bura ho sakta tha”, etc. ve
saalo pahale unhone boli hui kisi sharmanak baat ko soch kar aaj bhi pareshan
hote hain. Kai saare negative vichar kai bar unhe pareshan karate rahate hain.
Restrained Introvert:
Restrained
Introverts kuch bhi bolane ya karane se pahale sochana prefer karate hain. Ve
baaki logon ki tarah subah uthate he urjatmak mahasus nahi karte unhe. Dheemi
gati se kam karke relax karana restrained introverts pasand karate hain.
Ye sabhi 4
types of introverts ko jaan lene ke baad aap kis prakar ke introvert hain ye to
aap jaan he gaye honge.
Apane introversion
ko our achese samazne ke liye ya apne aas paas ke introverts ko samazne ke liye
hamare saath jude rahe. Our comment box me apane
suzav aap hame de sakte hain taki ham aapko our bhi behatar seva pradan kar
sake.
Also Read:
Thank you!x
0 Comments