Introduction and Meaning of Introvert in hindi | Introvert ka sahi matlab kya hota hai?
Introduction and Meaning of Introvert
Introvert ka matlab kya hota hai? Introvert ka english me
translation Antarmukhi (अंतर्मुखी) hota hai, lekin isase Introvert ka sahi
matlab samaz me nhi ata.
Introvert kya hota? Introvert ka matlab kya hota hai?
Introvert kise kahte hai? Our introvert kise nahi kahate? In sabhi sawalon ke
jawab aap ko aaj iss article me milenge.
Definition of introvert:
Introvert vyakti vo hota hai jo apni urja bahari duniya
ki our nirdeshit karane ki bajaye khudke hee vaicharik gatividhiyon me our apni
andharuni duniya ki our nirdeshit karta hai.
Aasan shabdo me kaha jaye to jo vyakti bahari duniya me
ghulane-milane ki bajaye akele me samay bitana pasand karate hai unhe ham
introvert kah sakate hai.
5 Signs of an introvert:
1. Akele me samay bitana:
Introverts jyadatar akele rahana pasand karte hai.
Introverts bahari duniya key a bheed se jyada der tak
sampark me aane ke baad thakahua mahasus karate hai our akele me samay bitane
par relaxed our urjatmak mahasus karte hai.
2. Apane hee vicharo me khoye rahana:
Agar aap introvert hai to aapne shyad anek logo se bohot
baar asia kuch jarur suna hoga “apani khayali duniya se bahar bhi aaya karo
kabhi” ya fir “yee hamesha kya sochte rahte ho” our agar aap introvert nhi hai
to aapne apnea as pass kisi na kisi ko hamesha gahari soch me rahate dekha
hoga, agar aisa hai to isaki kaafi sambhavana hai ki vo shakhs introvert ho.
Introverts jyada tar apane vicharo me vyast hote hai kyu
ki, unhe unke aas-paas jo chal raha hai usase jyada unke dimag me jo chal raha
hai usme ruchi hoti hai.
3. Akele kaam karana:
khaali jagah jaha our koi na ho, aas-paas ekdam shanti ho
our koi disturb na kare, agar ye 3 chije aapki koi bhi kaam krne ke liye mukhya
prathamikataon me hoti hai to shayad aap introvert hai.
Introverts akele me apna kaam behatar our jyada prabhavi
tarike se kar sakte hai.
4. Ab kya bolu? :
Jyada tar sambhashan ke samay “ab kya bolu?” yah savaal
introverts ke man me hamesha aata hai.
Kya aapke sath aisa hua hai ki aapko kisi baat ke liye
sabhi ache javaab aapki baat puri ho jaane ke kuch der bad yad aate hai our aap
sochete hai ki kaash ye javaab pahale mere dimaag me aya hota? Aisa introverts
ke sath hamesha hota hai.
5. Samaaj me apne aap ko alag mahasus karna:
Hamare samaj me extroverts ki sankhya introverts se jyada
hai our manav prachin kal se hi samaj me rahata aaya hai, shayad isee liye
hamare samaj me logon se ghul mil kar rahana, jyada se jyada logon ke sampark
me rahana achha mana jata hai our jo log aisa nahi kar paate (introverts) unhe
aisa karne ke liye baar-baar kaha jata hai. Isee vajah se jyada tar introverts samaj
me apane aap ko baaki logon se alag mahasus karte hai.
Agar aapke saath bhi aisa hota hai to ye aapke introvert
honeka ek badaa sanket ho sakta hai.
Shy Vs introverted:
Bohot baar log sharmila hona our introverted hona ek hee
samazte hai lekin ye bilkul bhi sach nahi hai, sharmila hona our introverted
hona dono hee alag-alag chijee hai.
- Shy person: Shy matlb sharmila vyakti vo hota hai jo naye logon se baat karne me ya fir anya kisi samajik paristhiti me bechainee, ghabarahat yaa hichkichahat mahasus karata hai. Aisa sharmila pan introverts our extroverts dono me paya ja sakta hai.
- Introverted person: introvert vyakti vo hota hai jo jyada samaj ke sampark me rahane ke baad thakavat mahasus karata hai, aisa bilkul bhi jaruri nahi ki vo sharmila ho. Agar dekha jaye to kai introverts aise bhi hai jo samajikata pasand bhi karte hai lekin jitani jaruri ho utani hee der ke liye, uske baad ve fir sr akele me samay bitana pasand kare hai.
Few words from I’m Introvert:
Introversion se sambandhit aisihee janakari paane ke liye
ham se jude rahe our aapke comments dvara hame feedback jarur de, jisase ham aapko
our bhi behatar seva pradan kar sake.
Our saath hee iss jaankari ko un logo tak jarur pohachaye
jinhe isaki jarurat hai.
Also Read:
History of word Introvert in hindi | Introvert shabd ka itihas
Also Read:
History of word Introvert in hindi | Introvert shabd ka itihas
Thank you!
0 Comments