History of word Introvert in hindi | Introvert shabd ka itihas

by - May 06, 2020



History of word Introvert 

          History of word Introvert ko jaanana kyu jaruri hai? Kyo ki kisi bhi topic ko samazne se pahle uss ka uday kaha se hua ye jaan lene se use samzna aasan ho jata hai. Introvert kya hai? / Introversion kya hai? Isee samzne ke liye hame Introvert shabd ka itihas our Introvert shabd ka origin jaan lena aavashyak hai. Aaj ham iss article me yahi jaanenge.
history-of-word-introvert


History of word Introvert 

  • ·     Carl jung's Personality Theory:

20th century main Carl Jung namak ek Swiss manochikitsak ne unki ek kitab ‘Psychological Types main ek vyaktitv sidhant (The Personality Theory) duniya ke samne rakha. Jismain unhone btaya ki duniya main mukhya roop se do vyaktitv vaale log hote hai, ek Introvert our dusare Extrovert. Yahi se Introvert and Extrovert ka concept prachalit hua.
Carl Jung ke mutabik Extroverts apani energy bahari duniya ki or nirdeshit karte hai, ve jyada logo me ghulane- milane tatha  bahari duniya me jyada samay bitane par acha mahasus karte hai. Thik isake viparit Introverts apana samay our energy ekaant me our apane vaicharik gatividhiyo me vyatit karana pasand karte hai. Unhe akele me samay bitana pasand hota hai our usise ve urjatmak (energetic) mahasus karate hai.
Carl Jung ne niche diye gaye 8 prakar ke vyaktitva ke bareme bataya hai:
1.   Bahirmukhee soch prakar (The extroverted thinking type)
2.   Antarmukhee soch prakar (The introverted thinking type)
3.   Bahirmukhee bhavana prakar (The extroverted feeling type)
4.   Antarmukhee bhavana prakar (The introverted feeling type)
5.   Bahirmukhee sanvedana prakar (The extroverted sensation type)
6.   Antarmukhi sanvedana prakar (The introverted sensation type)
7.   Bahirmukhee sahaj prakar (The extroverted intuitive type)
8.   Antarmukhee sahaj prakar (The introverted intuitive type)


  • Hans Eysenck's theory:

Introvert and extrovert concept prakhyat hone ke kuch saal bad Hans Eysenck namak ek manochikitsak ne bataya ki kuch logo me introvert our extrovert dono prakar ke vyaktitv ke lakshan dekhe jaa sakte hai, aise logo ko unhone ‘Ambivert’ shabd se sambodhit kiya.
Ambivert log introvert our extrovert ke bich me aate hai. Ve log paristhiti ke anusar introvert ya extrovert vyaktitv ko aatmsat karte hai. Asaan shabdo me kaha jaye to, Ambiverts jab akele hote hai ya unhe kisi kam par vichar kendrit karna hota hai tab ve introverts ki tarah baratav karte hai our jab ve apani family, friends ya baki logo ke sath hote hai tab ve extroverts ki tarah baratav karte hai.
Our iss tarah ham duniyabhar ke logo ka 3 mukhya vyaktitv ke aadhar par vargeekaran kar sakte hai,
Introvert-Ambivert-Extrovert

In 3 mukhya vyaktitv me se yah blog introvert iss vyaktitv par aadharit hai.



  • General Researches:


Aaj tak anek logon ke vyaktitv par anek prakar ki researches ki gai hai or usme se jadatar researches me ye paya gaya ki duniya me 68% log Ambivert hai our saath he kuch researchers ne ye bhi kaha ki duniya me koi bhi 100% Introvert ya Extrovert nhi hota, har vyakti me yah dono prakar ke vyaktitv hote hai, lekin kuch logo me Extroversion (बहिर्मुखता) jada hota hai jinhe ham Extroverts kah skte hai to kuch logo me Introversion (अंतर्मुखता) jada hota hai jinhe ham Introverts kah sakte hai.
This is all about the History of word introvert. Introvert shabd ka itihas jaan lene ke baad hame Introvert shabd ka origin bhi jaan lena jaruri hai.

  • The Origin of word introvert:

          Introvert yah shabd latin bhasha se liya gya hai, Isme intro matlab (English me) “Inward” tatha vertere matlab “turning” hota hai. In do shabdo se milkar “Introvert” yah shabd bana hai, jo aise vyakti ko darshata jo manasik roop se khud ke bheetar kee or mudata hai. Isee shabd ka hindi anuvaad “Antarmukhi/ अंतर्मुखी” hota hai.

  • Few words from I’m Introvert:

          Yah I’m Introvert iss blog par pahala article hai. Ham aise hi articles iss blog par post krte rahenge or aap ko introverts se sambandhit sampurn our vistrut jaankari dene ki koshish jaari rakhenge.
          Aisi hi jaankari paane ke liye ham se jude rahe our hame aap ke comments dwara feedback jarur de taki ham aapko our bhi behatar seva pradan kar sake.

Also Read: 
Thank you!


You May Also Like

0 Comments