Kya introverts, extroverts ban sakate hain? Aur kyu? A/c Science

by - May 31, 2020


Can an introvert become an extrovert? | Kya introverts, extroverts ban sakate hain?

Can an introvert become an extrovert? Agar iss savaal ka javab ek shabd me diya jaye to vo hoga “Nahi” lekin…lekin..lekin…
Aap ne shayad kuch logon ko aisa kahate huye suna hoga ki “Mai pahale introvert tha lekin fir aisa hua / mai isase mila aur fir mai extrovert ban gaya” aur vigyan kahata hai ki aisa nahi ho sakata lekin isaka matalab ye nahi hain ki vo vyakti jhooth bol raha hai, asal me vo vyakti apane aap ko thik se samaz nahi paya hain. Ise samazne se pahale ham ye jaan lete hain ki aakhir kyu introverts, extroverts me nahi badal sakate?


Can an introvert become an extrovert?

Why an introvert can’t be an extrovert?

Dr. Marti Olsen Laney ki book The Hidden Gifts ofthe Introverted Child; Helping Your Child Thrive In An Extroverted World ke mutabik, ek bachche ka svabhav usake janm se he usake sath ata hai lekin usake mata–pita aur usake aas paas ke log bhi usake svabhav par asar dal sakate hain.
.
Lekin bachche ke introversion ya extroversion ke bare me baat karate huye vo iss baat par jada jor deti hai ki bachche ka introvert ya extrovert hona bachche ke genes par baaki kisi bhi karan se jada nirbhar hota hain.

Aur ye book unhone kai neurological researches ke aadhar par likhi hain. Isiliye ye puri tarah se scientific hain.

Why do people think they changed to introvert from extrovert? | Log aisa kyu sochate hai ki ve introvert se extrovert me badal gaye?

Agar introvert ya extrovert hona hamare genes par nirbhar hain to kuch log aisa kyu kahate hain ki ve pahale introvert the aur kisi karan se extrovert ban gaye ya pahale extrovert the aur fir kisi karan ya ghatana se introvert ban gaye?

Isaka ek karan hain, apane aap ko thik se na samaz paana. Kuch log apane aap ko thik se samz he nahi paate, ise ham Ramesh ke example se samazte hain,

Ek Ramesh naam ka ladaka bachapan se he sharmila tha, vo kisi naye vyakti ke saath baat karane se sharmata tha aur isee vajah se vo apane aapko introvert samazne laga lekin ham jaanate hai har sharmila vyakti introvert ho aisa jaruri nahi hai lekin Ramesh ko ye baat nahi pata thi kyu ki Ramesh ne hamara INTRODUCTION ANDMEANING OF INTROVERT ye article nahi padha tha. Kuch din baad Ramesh ek seminar me gaya jisame usane apana sharmila pan dur karane ka tarika sikha aur usake baad usaka sharmila pan jaise gayab he ho gaya, usake baad se vo kisi se bhi aasani se baat kar leta aur isase use bohot acha lag raha tha to use lagane laga ki vo introvert se extrovert me badal gaya hai. Lekin asal me, vo to pahale se he extrovert tha abhi to sirf usaka sharmila pan dur hua tha.
To Ramesh ki tarah he log kabhi-kabhi apane svabhav ko samazne me galati kar baithate hai. Isiliye Introversion aur Extroversion ko thik se samazna bohot jaruri hain aur yahi hamari website I’m Introvert ka uddeshya hain.

Few words from I’m Introvert:

Agar aap introvert hain to mai aap se itana he kahunga ki aap ko extrovert banane ki jarurat bhi nahi hain aur aap extrovert banana chahate bhi kyu hain? Aapke aas paas ke log extrovert hain isaka matalab ye nahi ki aapka bhi extrovert hona jaruri hain. Aapki apani khubiya hain aur extroverts ki bhi apani khubiya hain isliye aap jaise hai ekdam sahi hai.

Aur agar aap extrovert hain to mai aap se kahunga ki aapke aas paas agar koi vyakti introvert hain to please use extrovert banane ki koshish na kare ye uss vyakti ke liye anxiety ya depression ka karan bhi ban skata hain.

Mai aasha karata hu ki aapko yah article pasand aaya hoga. Agar aap aise he articles padhana chahate hain to hamase jude rahe aur comment box me apana feedback jarur de taki ham aapko aur bhi behatarin seva pradaan kar sake.



You May Also Like

0 Comments