Psychology of Introverts in lockdown (Hindi)

by - June 10, 2020

Kya introverts ko lockdown se fark nahi padata?

Maine social media par kai logon ko aisa kahate huye dekha hain ki “quarantine days ya lockdown se introverts ko koi fark he nahi padata” lekin kya sachme aisa hain? Kuch introverts ke liye shayd ha lekin sabhi ke liye, bilkul nahi.
Aaiye ise vistar se samazate hai.

Psychology of Introverts in lockdown

Psychology of Introverts in lockdown


Myers-Briggs method ke mutabik introverts ki 8 personalities hoti hai,

INFJ (Introversion+ Intuition+ Feeling+ judging)
INFP (Introversion+ Intuition+ Feeling+ Perceiving)
INTJ (Introversion+ Intuition+ Thinking+ Judging)
INTP (Introversion+ Intuition+ Thinking+ Perceiving)
ISFJ (Introversion+ Sensing+ Feeling+ judging)
ISFP (Introversion+ Sensing+ Feeling+ Perceiving)
ISTJ (Introversion+ Sensing+ Thinking+ Judging)
ISTP (Introversion+ Sensing+ Thinking+ Perceiving)

In sabhi alag-alag personalities ke log alag-alag chijo ko alag-alag tarike se anubhav karate hain.

Aur ajj ham baat kar rahe hain lockdown me introverts ki manasikata (psychology) ke baare me, to isame aur bhi kai Factors aa jate hain jaise ki, jis introvert vyakti ke baare me ham baat kar rahe hain vo lockdown se pahale kaha aur kis paristhiti me tha, vo ab kaha aur kis paristhiti me hain, lockdown ke baad use kaha jaana padega,ityadee.

To 8 prakar ki Personalities ke introverts aur unaki alag-alag paristhitiya mila ke asankhya sambhavanao ka bina koi vishleshan kare usaka ek line me yah nishkarsha maan lena ki “Lockdown se introverts ko fark nahi padata” mere mat se sahi nahi hoga.

Jaise kuch introverts apane kaam ke prati bohot jada samarpit hote hain aur lockdown me kaam ruk jaane ki vajah se ve bohot jada tanaav bhi aa sakate hain aur dusari taraf kuch introverts iss baat se khush bhi ho skate hain ki unhe kuch naya karane ke liye vakt mil gaya. 

No one is 100% introvert or extrovert

Jo introverts lockdown me apane parivaar ke saath ya fir 2-3 kuch bohot karibi logon ke saath hain aur vo jab chahe tab akele me bhi samay bita sakate hain, jinamese se main bhi ek hu, to hamare liye chije saamanya ho sakati hain lekin jo introverts kahi ekdam akele fase huye hain ya fir aise logon ke saath hain jo unake bohot karibee na ho, un introverts ko thodi pareshani to jarur hogi.

Jaisa ki ham jaanate hain ki koi bhi vyakti 100% introvert ya 100% extrovert nahi hota, jaise har extrovert kabhi na kabhi akele me bhi samay bitata hain vaise he har introvert ko dusare logon ke saath interaction ki bhi jarurat hoti hain, fir vo log har introvert vyakti ke liye alag-alag ho sakate hain, kisi ke liye usake kuch khaas friends ho sakate to kisi ke liye kuch khaas rishtedaar ye poori tarah uss introvert vyakti par he nirbhar hain.

Conclusion:

To iss chote se article ka saar yahi hain ki, Kuch introverts ke liye ye lockdown ya quarantine ke din shyad koi Lottery jeetane ki tarah hain to kuch ke liye shayd ek aur Negative Overthinking ka kaaran aur kuch introverts ko koi jada fark he nahi pada ho.

Chahe paristhiti kaisi bhi ho har introvert use apani alag-alag personalities ki vajah se alag-alag tarike se anubhav karate hain.

Hame comment karake jarur bataye ki aap in lockdown ke dino ko kis tarah anubhav kar rahe hain.

Aasha hain ki aapko yah article jarur pasand aya hoga, hamase aise he jude rahe aur comment box me apana feedback jarur dee

Also read: 


Thank you!

You May Also Like

0 Comments