Kya Introverts ka brain slow hota hain? | Why I'm so slow? (Hindi)

by - June 17, 2020

Kya Introverts brain slow respond karata hain?


Hey introverts, kya kabhi aapke saath aisa hua hain, ki aap apana koi kaam kar rahe ho ya fir aise he baith kar kuch soch rahe ho aur achanak se koi aapke paas aata hain aur aapse kuch puchata hain aur vo vyakti aapke javaab ka intajaar kar raha hain lekin aap apane kaam me ya soch me itana doobe huye the ki pahale to kuch seconds ke liye aap ko samaz he nahi aata ki aapse usane kya pucha, fir jab aap ko samaz aa jata hai to aap ye sochate ho ki ab aapko kya bolana hain lekin jab aap ye sab soch rahe hain uss vakt vo vyakti jisane aapse kuch pucha hain, aap ki taraf besabari dekh raha hain lekin aap abhi tak javaab ke bare me soch rahe ho aur kuch seconds baad aap javaab soch lete ho use batate ho. Fir vo aadami aap par hasata hain aur ye kah kar chala jaata hain ki app bohot slow ho.

Aur agar aisa aap ke saath nahi hua to aapne apane kisi introvert friend ke saath aisa hote huye to jarur dekha hoga. Lekin kya aapne kabhi socha hain ki aisa aakhir hota kyu hai? Aakhir kyu kuch introverts kisi baat ka javaab dene me der laga dete hain? Ya kyu vo kuch kaam bohot dhire karate hain?

Aisa hone ke piche ke do mukhya kaaran jaanane ke liye, padhate rahiye.

Kya Introverts ka brain slow hota hain?


Reasons Why some introverts are Slow

Introverts ka brain unake thaughts me busy rahata hain


Jaisa ki maine pahale bhi kaha hain, introverts hamesha kuch na kuch sochte rahate hain aur introverts sirf sochate nahi hain balki uss soch me poori tarah se doob jaate hain. Main bhi ek introverts hu aur jab main kuch soch raha hota hu aur to main usame itana kho jata hu ki muze mere aas paas kya chal raha hain usaka pata he nahi rahata aur aise me muze achanak se koi kuch pooche ya kuch kahe to muze apani gahari soch se bahar nikal kar uss vyakti ki baat ka javab dene me samay lagata hain kyu ki us vakt main apani soch me bohot jada concentrated hota hu aur yahi jadatar introverts ke saath bhi hota hain.

Ye to ho gai bolane ke liye der karane ki baat ab baat karate hain koi bhi sadharan kaam bohot dhire karane ke bare me, jaise ki khana khana, udaharan ke liye maan lijiye ki koi introvert vyakti khana kha raha ho aur usake dimag me koi vichar aa ajaye aur vo usake bare me utane he concentration ke saath sochane lage to usaka apane khane par dhyan kaise rahega, aise me usake khana khane ki gati kam hona to svabhavik hain. Yahi baat aise sabhi kaamo par bhi laagu hoti hain jisame jada concentration ki jarurat na ho.

Most of the introverts are perfectionist


Majedaar baat to ye hain ki, aise kaam jiname jada concentration ki jarurat nahi hoti, introverts uss kaam me dhyan na hone ke karan usse dhire karate hain to aise kaam jiname jada concentration ki jarurat hoti hain, bohot jada dhyan dene ke karan dhire karate hain.

Jadatar introverts perfectionist hote hain, ham har kaam me Perfection dhundate hain aur usame kisi bhi tarah ki koi bhi kami rah jaye ye ham bilkul bhi pasand nahi karate, lekin har baar hame koi na koi kami najar aa he jaati hain aur use he thik karate-karate samay ka dhyan he nahi rahata. Isiliye kisi bhi kaam ko karane me hame bohot jada samay lag jaata hain, aur fir bhi aisa bohot kam hota hain ki ham kisi bhi kaamse poori tarah santusht ho jaye aur usame koi kami na dhund paaye.

Leonardo da Vinci bhi ek introvert aur perfectionist the aur unaki perfection ki misaal “Mona Lisa” ke bare me to har koi jaanata hain lekin bohot log shayd ye nahi jaanate ki uss painting ko banane me Da Vinci ne kai saal laga diye the aur sirf Mona Lisa he nahi balaki Da Vinci har painting ko banane me bohot jada samay laga dete the aur isaka karan unaka perfectionist hona he tha.

Conclusion:


Iss article se ham yahi nishkarsh nikal sakate hain ki, kisi vyakti ka slow hone matalab ye nahi hain ki vo vyakti kam intelligent hain ya usee koi problem hain ya usaka brain slow hain jaisa ki bohot log samazte hain, usake slow hone ka matlab ye bhi ho sakata hain ki vo ek introvert hain.


Also read:

Thank you!

You May Also Like

0 Comments