How to stop overthinking? in hindi | Jada sochne ki bimari se kaise bache?
How to stop overthinking?
How to stop
overthinking? | jada sochna kaise roke? Ye savaal kai introverts ko pareshan
karata rahata hain our mai bhi unme se he ek tha lekin muze kuch aise tarike
mile jisase mai apani overthinking ki aadat se saamanaa kar paaya jinake bare me
aaj aap iss article me jaanenge, lekin usase pahale introverts ko jada sochane
ki bimari kyu hoti hain (kuch introverts ko) ye jaan lete hain.
Why Introverts Overthink?| Introverts jarurat se jada kyu sochate hain?
Dr. Laurie
Helgoe ke mutaabik, researchers ne kai logo ke dimaag me hone vaale electrical
gatividhee (electrical activity) ki jaach kee aur researchers ne ye paaya ki,
introverts ke dimaag me hone vaali electrical activity extroverts ke dimaag me
hone vaali electrical activity se jada thi, fir chahe vo koi kaam kar rahe ho
ya aaraam kar rahe ho.
Ise ham
dusare shabdo me kuch iss tarah explain kar sakte hain, introverts aaraam kar
rahe ho ya koi kaam kar rahe ho unake dimaag me ho rahi activity hamesha hee
extroverts ke mukaabale jada hoti hain, matlab introverts ka dimaag ek second me
extroverts ke dimaag ke mukaabale jada information ko process karata hain.
Iss wajah se
ham introverts kisi bhi chij ke bare me jada sochane lagate hain.
Hamaare
overthinking ka dusara kaaran hain hamaare dimaag ke doo areas, Frontal cortex
and Broca’s area ka jada active hona.
Neuroimaging
studies me dimaag ke ye dono areas jo overthinking se sambandhit hain,
introverts me bohot jada active paye gaye.
- Frontal cortex: Frontal cortex yaad rakhane, yojana banaane, nirnay lene aur samasya ko hal karane ke liye jimmedaar hota hain aur yah sabhi chije overthinking se sambandhit hain.
- Broca’s area: Broca’s area apane aap se baate karane ke liye jimmedaar hain jo ham overthinking ke dauraan hamesha karate hain.
5 Tips to Stop Overthinking
1. Write your thoughts | apane vicharo ko likhiye
Apane dimaag
me chal rahe vichar kisi kagaj par likhane se overthinking se bacha ja sakata hain.
Jab aapke
man me kisi bareme bohot saare vichar chal rahe ho to un sare vicharome se
positive (sakaratmak) vicharo ki ek list banaiye aur sath he negative (nakaratmak)
vicharo ki bhi ek list banaiye. Fir aap chahe to negative vicharo vaali list ko
phaad kar fake bhi sakte hain aur sirf positive vicharo par apana dhyan laga
sakate hain.
Aisa karane
se aapka man halaka ho jayega aur aapko overthinking se bahar aane me madat
milegi.
2. Ask yourself a question |apane aap se ek prashna puchiye
Jab ham
bhavishya me hone vali kisi baat ko lekar bohot jada sochane lagate hain aur
usase pareshan hote hain tab iss soch se bahar nikalane ka ek prabhavi tarika
hain uss ghatana ke bare me sochne ki bajaye ye sochna ki ham aisa kya kar
sakate hain ki vo ghatana hamare ichha ke anusaar ho.
Aise vakt me
mai apane aap se ek savaal puchata hu,
“kya mai
aisa kuch kar sakta hu jisase bhavishya me hone vaali vo ghatana mere ichha anusaar
ho?”
Agar isaka javaab haa milata hain fir to
chinta karane ka koi karan he nahi rah jata, kyu ki ham jo kar sakte hai ham vo
jarur karenge.
Aur agar
isaka javaab nahi milata hain to mai apane aap se kahata hu “jab mai iss bare
me kuch kar he nahi sakata to chinta karane se kya hoga” aur mai apana dhyan
dusari or leke chala jata hu.
Note- Yah
tarika aap apani soch me bohot jada doob jaane se pahale, matalab jab aap ko
lage ki aapaka dimaag overthinking shuru he karane vaala hain tab aasamayenge
to jada karagar saabit hoga.
3. Cry | Roiye
Rona kuch
logo ko ajib lag sakta hain lekin vigyan kahata hain ki rone se hamaare shareer
se kafi matra me stress hormones bahar nikal jaate hain.
Jab ham kisi
chij ko lekar bohot jada sochane lagate hain, hame uss baat ko lekar chinta
hone lagati hain aise vakt me agar rone ka man kare to apane aapko ronese nahi
rokana chahiye.
4. Read books
Duniya me
har samasya se nipatane ke liye koi na koi book to mil he jayegi. Hamari samasya
overthinking hain aur isase nipatane ke liye bhi kai books hamari madat kar
sakati hain. Niche diye hue doo books bhi unamese he hain aur inse muze bhi
kaafi madat mili hain.
These books
can help you to stop overthinking.
5. Realize that
you can’t control everything | sab kuch aap ke niyantran me nahi hain ise
samaze
Ham chahe
kitani bhi koshish karale lekin ham hamari life me hone vaali sabhi ghatanao ko
apane hisaab se niyantrit nahi kar sakate ye sach hame svikaar kar lena
chahiye.
Jin ghatanao
ka niyantran aap ke hath me he nahi hain unake baare me bar-bar sochane se kuch
nahi hoga aur kya pata aap jaisa soch rahe hain, bhavishya me vaisa kuch bhi na
ho aur sab kuch aap ki ummid se bhi jada acha ho jaye.
Mai aasha karata hu ki yah "How to stop overthinking?" article aapko pasand aaya hoga aur ummid hai ki aapko isase apani overthinking ki aadat se ladhane me madat milegi.
Aise he informative articles padhane ke liye hamse jude rahe aur comment box me aap hame apane suzav de sakte hain taki ham aapko aur bhi behatar seva pradaan kar sake.
Thank you!
x
0 Comments