Can an introvert become an extrovert? | Kya introverts, extroverts ban sakate hain?
Can an
introvert become an extrovert? Agar iss savaal ka javab ek shabd me diya jaye
to vo hoga “Nahi” lekin…lekin..lekin…
Aap ne
shayad kuch logon ko aisa kahate huye suna hoga ki “Mai pahale introvert tha
lekin fir aisa hua / mai isase mila aur fir mai extrovert ban gaya” aur vigyan
kahata hai ki aisa nahi ho sakata lekin isaka matalab ye nahi hain ki vo vyakti
jhooth bol raha hai, asal me vo vyakti apane aap ko thik se samaz nahi paya
hain. Ise samazne se pahale ham ye jaan lete hain ki aakhir kyu introverts, extroverts
me nahi badal sakate?
Why an introvert can’t be an extrovert?
Dr. Marti
Olsen Laney ki book The Hidden Gifts ofthe Introverted Child; Helping Your Child Thrive In An Extroverted World ke
mutabik, ek bachche ka svabhav usake janm se he usake sath ata hai lekin usake
mata–pita aur usake aas paas ke log bhi usake svabhav par asar dal sakate hain.
.
Lekin
bachche ke introversion ya extroversion ke bare me baat karate huye vo iss baat
par jada jor deti hai ki bachche ka introvert ya extrovert hona bachche ke
genes par baaki kisi bhi karan se jada nirbhar hota hain.
Aur ye book
unhone kai neurological researches ke aadhar par likhi hain. Isiliye ye puri
tarah se scientific hain.
Why do people think they changed to introvert from extrovert? | Log aisa kyu sochate hai ki ve introvert se extrovert me badal gaye?
Agar introvert
ya extrovert hona hamare genes par nirbhar hain to kuch log aisa kyu kahate
hain ki ve pahale introvert the aur kisi karan se extrovert ban gaye ya pahale
extrovert the aur fir kisi karan ya ghatana se introvert ban gaye?
Isaka ek karan
hain, apane aap ko thik se na samaz paana. Kuch log apane aap ko thik se samz
he nahi paate, ise ham Ramesh ke example se samazte hain,
Ek Ramesh
naam ka ladaka bachapan se he sharmila tha, vo kisi naye vyakti ke saath baat
karane se sharmata tha aur isee vajah se vo apane aapko introvert samazne laga
lekin ham jaanate hai har sharmila vyakti introvert ho aisa jaruri nahi hai lekin
Ramesh ko ye baat nahi pata thi kyu ki Ramesh ne hamara INTRODUCTION ANDMEANING OF INTROVERT ye article nahi padha tha. Kuch din baad Ramesh ek seminar
me gaya jisame usane apana sharmila pan dur karane ka tarika sikha aur usake
baad usaka sharmila pan jaise gayab he ho gaya, usake baad se vo kisi se bhi
aasani se baat kar leta aur isase use bohot acha lag raha tha to use lagane
laga ki vo introvert se extrovert me badal gaya hai. Lekin asal me, vo to pahale
se he extrovert tha abhi to sirf usaka sharmila pan dur hua tha.
To Ramesh ki
tarah he log kabhi-kabhi apane svabhav ko samazne me galati kar baithate hai. Isiliye
Introversion aur Extroversion ko thik se samazna bohot jaruri hain aur yahi
hamari website I’m Introvert ka uddeshya hain.
Few words from I’m Introvert:
Agar aap
introvert hain to mai aap se itana he kahunga ki aap ko extrovert banane ki
jarurat bhi nahi hain aur aap extrovert banana chahate bhi kyu hain? Aapke aas
paas ke log extrovert hain isaka matalab ye nahi ki aapka bhi extrovert hona
jaruri hain. Aapki apani khubiya hain aur extroverts ki bhi apani khubiya hain
isliye aap jaise hai ekdam sahi hai.
Aur agar aap
extrovert hain to mai aap se kahunga ki aapke aas paas agar koi vyakti
introvert hain to please use extrovert banane ki koshish na kare ye uss vyakti
ke liye anxiety ya depression ka karan bhi ban skata hain.
Mai aasha
karata hu ki aapko yah article pasand aaya hoga. Agar aap aise he articles
padhana chahate hain to hamase jude rahe aur comment box me apana feedback
jarur de taki ham aapko aur bhi behatarin seva pradaan kar sake.